Uttan ke Bhatebandar Beach par machhuaaron ko 100 kg se zyada wazan wali ek badi machhli mili. Machhuaare Sunil aur unke bhai apni boat 'Ekveera' se roz ki tarah fishing karne nikle the. Lekin is baar unke jaal mein itni badi machhli phans gayi, jise dekhkar woh bhi hairaan reh gaye. Sunil ke mutabik, is machhli ki Mumbai market mein lagbhag ₹15,000 tak keemat mil sakti hai. Yeh machhli apne health benefits aur market mein high demand ke liye jaani jaati hai.